Sunday, October 25, 2009

umeed

tunfa kita bhi ho,hath uthaye rakhna
daldal kitna bhi ho,pav jamaye rakhna
kaun kehta hai chalni mai paani nahi rukta
barf ke jamne tak hath lagaye rakhna.

sms

ek pariende ka dard bhara fasana tha,
toote pankh fir bhi udte hue jana tha,
toofan to jhel gaya par hua 1 afsos
wahi daal tooti jis pe uska aashiyana tha.

har insan ki 1 alag pehchan hoti hai
par hamare sms ki alag shan hoti hai
hum har kisi ko nahi karte sms
karte hai unhe jinme hamari jaan hoti hai.


aaj bhigi h palke teri yad mai
ashk b simat gaye apne aap me
oos ki bund bikhri h zameen par ashk bankar
maano chandni raat b roi ho teri yaad mai.


har sham se tera zikr kiya karte hai
har khawab mai tera dedar kiya karte hai
dewane hai to haihum tere
jo har waqt tere milne ka intezar kiya karte hai

labo ki hansi tere naam kar denge
har khushi tujh par kurban kar denge
jis din lage meri dosti main kami t batana
zindagi ko maut ke naam kar denge.

tanhai ko humdam ki zarurat hai
har zakhm ko marham ki zarurat hai
muddat se bachain hai dl apna
shayad ek naye gham ki zarurat hai

mana aap sabse ajij hai
dil ke sabse karib hai
na koi call na koi sms
kya aap sudama se garib hai.

show me your love


Mujhe dard e ishq ka mazaa malom hai
dard e dil ki inteha malom hai
zindagi bhar muskurane ki dua naa dena
mujhe pal bahar muskurane ki sazaa malom hai

Sapne saare tod kar beithe hai
dil ka armaan chod kar beithe hai
na kijiye humse wafa ki baatein
abhi-abhi dil ke tukde jod kar beithe hai

Kya faaida hua hai ab intezaar karke
Gardish mein aagaye hai..Hum tumse pyar karke
Iss daur mein Wafa ka..Hum karobaar karke
Sunnat nibha rahe hai..Dushman se pyar karke

Sapne saare tod kar beithe hai
dil ka armaan chod kar beithe hai
na kijiye humse wafa ki baatein
abhi-abhi dil ke tukde jod kar beithe hai

Rokk nahin paate yeh aansoo chalo aaj ji bhar ke behne do
mein thi kabki tanha ae dost mujhe tanha hi rehne do
unse wafa karke yeh inaam paaya humne
vo agar kahe mujhe bewafa toh usse kehne do

Zindagi se jo tum ja chuke ho…
har taraf se hum barbaad ho gaye…
Muskuraate hain khud ki maut par…
ansoo chipaane mein ustaad ho gaye.

Ilzaam unper koi aane na denge…..
Bewafa bankar unhe jaane na denge……
Khud hi seh lenge sare dard…..
per unhe kabhi sir jhukane na denge…..

Toot padti hai nayi roz khabar shaam ke baad…
waqt hota hai azabon mein basar shaam ke baad…
Meri aankhon se baraste hue daryaon me…
doob jati hai teri raah-e-guzar shaam ke baad

bewafa



Kabhi roke muskuraye, kabhi muskurake roye
Teri yaad jab bhi aayee, tujhe bhula bulake roye
Ek tera hi naam tha jise hazaar baartha likha
Jise khush hue the likhkar use mita mitake roye…

Mar jaoon main agar, to aansu mat bahana,
bas kafan ki jagah apna dupatta chada jana,
koi pooche ki rog kya tha,
to sir jhuka ke mohabbat bata jana.

Log to apna banake chodd dete hai..
Kitnee aasanise ghairon se rishta jod lete hai…
Hum ek phool tak na tod sake kabhi…
kuch log to berahmi se dil bhi tod dete hai..

Agar chand ko paana itna aasaan hota
har koi chandni ka deewana hota
taare toh roz hi tootte hai aasmaan pe
par koi unka sahaara nahin hota

Dil tootega toh fariyaad karoge tum bhi
hum na rahe toh hamein yaad karoge tum bhi
aaj kehte ho hamare paas vaqt nahin
par ek din mere liye vaqt barbaad karoge tum bhi

Tamaam raat vo zakhm de ke apne pairon ko
mere vajood ke raaz talaash karte thei
duaae karte thei aujde hue mazaaron pe
bade ajeeb shehar talaash karte thei
mujhe toh bataaya hai baadlon ne….
vo lautne ke raaste talaash karte thei…

wo pagli ladki

Amawas ki kaali raaton mein dil ka darwaja khulta hai,
Jab dard ki pyaali raaton mein gum ansoon ke sang hote hain,

Jab pichwade ke kamre mein hum nipat akele hote hain,
Jab ghadiyan tik-tik chalti hain, sab sote hain, hum rote hain,
Jab baar baar dohrane se saari yaadein chuk jaati hain,
Jab unch-neech samjhane mein mathe ki nas dukh jaati hain,
Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai.

Jab pothe khali hote hain, jab har sawali hote hain,
Jab gazlen raas nahin aatin, afsane gaali hote hain.
Jab baasi feeki dhoop sametein din jaldi dhal jaata hai,
Jab suraj ka laskhar chhat se galiyon mein der se jaata hai,
Jab jaldi ghar jaane ki ichha mann hi mann ghut jaati hai,
Jab college se ghar laane waali pahli bus chhut jaati hai,
Jab beman se khaana khaane par maa gussa ho jaati hai,
Jab laakh mana karne par bhi paaro padhne aa jaati hai,
Jab apna manchaha har kaam koi lachari lagta hai,
Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai.

Jab kamre mein sannate ki awaj sunai deti hai,
Jab darpan mein aankhon ke neeche jhai dikhai deti hai,
Jab badki bhabhi kahti hain, kuchh sehat ka bhi dhyan karo,
Kya likhte ho lalla dinbhar, kuchh sapnon ka sammaan karo,
Jab baba waali baithak mein kuchh rishte waale aate hain,
Jab baba humein bulate hain, hum jaate hain, ghabrate hain,
Jab saari pahne ladki ka ek photo laya jaata hai,
Jab bhabhi humein manati hain, photo dikhlaya jaata hai,
Jab saare ghar ka samjhana humko fankari lagta hai,
Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai.

Didi kahti hain us pagli ladki ki kuchh aukat nahin,
Uske dil mein bhaiya tere jaise pyare jasbat nahin,
Wo pagli ladki mere liye nau din bhooki rahti hai,
Chup-chup saare vrat karti hai, par mujhse kabhi na kahti hai,
Jo pagli ladki kahti hai, main pyar tumhi se karti hoon,
Lekin mein hoon majboor bahut, amma-baba se darti hoon,
Us pagli ladki par apna kuchh adhikar nahin baba,
Yeh katha-kahani kisse hain, kuchh bhi to saar nahin baba,
Bas us pagli ladki ke sang jeena fulwari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai…